hum yunhi roz kisi baat pe aD sakte hain
ham yūñhī roz kisī baat pe aḌ sakte haiñ
is bahāne bhī to ik duuje se laḌ sakte haiñ
jab bhī milte haiñ to ik dil meñ kasak hotī hai
vasl se guzreñge to hijr meñ paḌ sakte haiñ
dekhnā yuuñ maiñ tire dil meñ utar saktā huuñ
mujh ko phande meñ tire nain jakaḌ sakte haiñ
bāteñ sun sakte haiñ jab do Take logoñ kī ham
tirī ḳhātir zamīñ par naak ragaḌ sakte haiñ
dar-ba-dar mere bhaTakne kā yuuñ andāza karo
dhuup meñ rakkhe hue phuul sukaḌ sakte haiñ
bachpane meñ koī bachcha hai bigaḌtā jitnā
ham tire pyaar meñ utnā to bigaḌ sakte haiñ
ek honā hī nahīñ 'shoḳh' to phir mas.ala kyā
ham ne jab pyaar kiyā hai to bichhaḌ sakte haiñ
hum yunhi roz kisi baat pe aD sakte hain
is bahane bhi to ek duje se laD sakte hain
jab bhi milte hain to ek dil mein kasak hoti hai
wasl se guzrenge to hijr mein paD sakte hain
dekhna yun main tere dil mein utar sakta hun
mujh ko phande mein tere nain jakaD sakte hain
baaten sun sakte hain jab do Take logon ki hum
teri KHatir zamin par nak ragaD sakte hain
dar-ba-dar mere bhaTakne ka yun andaza karo
dhup mein rakkhe hue phul sukaD sakte hain
bachpane mein koi bachcha hai bigaDta jitna
hum tere pyar mein utna to bigaD sakte hain
ek hona hi nahin 'shoKH' to phir masala kya
hum ne jab pyar kiya hai to bichhaD sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.