ham-zaban ho gae hum log shanasai hui
ham-zabāñ ho ga.e ham log shanāsā.ī huī
shab ke sannāToñ meñ jab rū-ba-rū tanhā.ī huī
aap kā bazm se uTh jaanā mire haq meñ rahā
aap ke baad mirī ḳhuub pazīrā.ī huī
pyaas zaḳhmī rahī zindān ke darvāzoñ tak
bahte dariyāo kahāñ tum se masīhā.ī huī
pahle kuchh abr ke TukḌoñ sā thā larzāñ us par
baad meñ kyā huā kyoñ shakl thī gahnā.ī huī
ek muddat huī jis laash ko dafnā.e hue
aaj vo laash milī nahr meñ utrā.ī huī
sirf mīrās-e-shahādat hī nahīñ hisse meñ
daulat-e-girya-e-mazlūm bhī ābā.ī huī
ham-zaban ho gae hum log shanasai hui
shab ke sannaTon mein jab ru-ba-ru tanhai hui
aap ka bazm se uTh jaana mere haq mein raha
aap ke baad meri KHub pazirai hui
pyas zaKHmi rahi zindan ke darwazon tak
bahte dariyao kahan tum se masihai hui
pahle kuchh abr ke TukDon sa tha larzan us par
baad mein kya hua kyon shakl thi gahnai hui
ek muddat hui jis lash ko dafnae hue
aaj wo lash mili nahr mein utrai hui
sirf miras-e-shahadat hi nahin hisse mein
daulat-e-girya-e-mazlum bhi aabai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.