hum zamane mein mohabbat ke bhikari Thahre
ham zamāne meñ mohabbat ke bhikārī Thahre
dost haiñ sab ke magar dushman-e-jāñ haiñ apne
aaj kī raat kahīñ sho.ala-e-gul hī bhaḌke
jaane kal sub.h kahāñ hoñge ham uḌte patte
jān-e-man ab ke ye ādāb haiñ tere kaise
bāñkpan merī ġhazal kā tirī mahfil meñ luTe
vo sabā hai to rahe kis liye gulshan se pare
ye shab-e-gul hai to kyuuñ sej pe kāñToñ ke kaTe
kyuuñ phire dasht meñ dīvāne hue kis ke liye
ham ko ma.alūm nahīñ pūchhiye un āñkhoñ se
mar chukīñ kab kī tamannā.eñ sisak kar lekin
dil kī dīvār se rātoñ ko koī sar paTke
kahīñ manzil se bhaTak jaa.e na dīvāna-e-gul
jāda-e-shahr-e-bahārāñ meñ bichhā do kāñTe
Daal dil khol ke in TuuTe hue shīshoñ meñ
sañg aa.e haiñ bahut raah meñ ham par pyāre
ye tirī yaad kā 'ālam shab-e-tanhā.ī meñ
jaise lahrā ke kiran kaalī ghaTā se chhūTe
in bharī rāhoñ meñ sab mere haiñ maiñ kis kā huuñ
duuñ sadā kis ko lage kaun kaleje se mire
kaun utregā mire dil ke gulistānoñ meñ
kaun guzregā mire chehre ke sahrāoñ se
raakh is ghar meñ vo uḌtī hai ki jaise 'hashamī'
taaq meñ sham' na thī sahn meñ mahtāb na the
hum zamane mein mohabbat ke bhikari Thahre
dost hain sab ke magar dushman-e-jaan hain apne
aaj ki raat kahin shoala-e-gul hi bhaDke
jaane kal subh kahan honge hum uDte patte
jaan-e-man ab ke ye aadab hain tere kaise
bankpan meri ghazal ka teri mahfil mein luTe
wo saba hai to rahe kis liye gulshan se pare
ye shab-e-gul hai to kyun sej pe kanTon ke kaTe
kyun phire dasht mein diwane hue kis ke liye
hum ko malum nahin puchhiye un aankhon se
mar chukin kab ki tamannaen sisak kar lekin
dil ki diwar se raaton ko koi sar paTke
kahin manzil se bhaTak jae na diwana-e-gul
jada-e-shahr-e-bahaaran mein bichha do kanTe
Dal dil khol ke in TuTe hue shishon mein
sang aae hain bahut rah mein hum par pyare
ye teri yaad ka 'alam shab-e-tanhai mein
jaise lahra ke kiran kali ghaTa se chhuTe
in bhari rahon mein sab mere hain main kis ka hun
dun sada kis ko lage kaun kaleje se mere
kaun utrega mere dil ke gulistanon mein
kaun guzrega mere chehre ke sahraon se
rakh is ghar mein wo uDti hai ki jaise 'hashami'
taq mein sham' na thi sahn mein mahtab na the
- Book : NuqooshVol. No. 83-84 (Pg. B-128 E-131)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idarah faroog Urdu, Lahore (Vol. No. 83-84)
- Edition : Vol. No. 83-84
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.