hum zist ain-e-marzi-e-yazdan na kar sake
hum zist ain-e-marzi-e-yazdan na kar sake
Rana Khalid Mahmood Qaiser
MORE BYRana Khalid Mahmood Qaiser
ham ziist 'ain-e-marzī-e-yazdāñ na kar sake
baḳhshish kā apnī koī bhī sāmāñ na kar sake
takmīl-e-ārzū na huī bā'd-e-marg bhī
marqad pe bhī vo zulf pareshāñ na kar sake
āḳhir bayān kar hī diyā us se hāl-e-dil
ham ehtiyāt tā-had-e-imkāñ na kar sake
dā'vā to karnā 'ishq kā kār-e-fuzūl hai
qurbān jab kisī pe dil-o-jāñ na kar sake
ham kitne bad-nasīb haiñ jab bhī diye jalā.e
vo āñdhiyāñ chalīñ ki charāġhāñ na kar sake
mahfil se baar baar uThā.e ga.e magar
tark-e-ḳhayāl-e-mahfil-e-jānāñ na kar sake
kashtī ke Duub jaane kā 'qaisar' unheñ hai ġham
jo log fikr-e-āmad-e-tūfāñ na kar sake
hum zist 'ain-e-marzi-e-yazdan na kar sake
baKHshish ka apni koi bhi saman na kar sake
takmil-e-arzu na hui ba'd-e-marg bhi
marqad pe bhi wo zulf pareshan na kar sake
aaKHir bayan kar hi diya us se haal-e-dil
hum ehtiyat ta-had-e-imkan na kar sake
da'wa to karna 'ishq ka kar-e-fuzul hai
qurban jab kisi pe dil-o-jaan na kar sake
hum kitne bad-nasib hain jab bhi diye jalae
wo aandhiyan chalin ki charaghan na kar sake
mahfil se bar bar uThae gae magar
tark-e-KHayal-e-mahfil-e-jaanan na kar sake
kashti ke Dub jaane ka 'qaisar' unhen hai gham
jo log fikr-e-amad-e-tufan na kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.