hum zikr-e-nau-bahaar karen ya nahin karen
ham zikr-e-nau-bahār kareñ yā nahīñ kareñ
ik jabr iḳhtiyār kareñ yā nahīñ kareñ
ḳhūn-e-jigar charāġh-e-vafā ḳhāna-e-umīd
ab un kā intizār kareñ yā nahīñ kareñ
zanjīr ko sañbhāl ke baiThe haiñ der se
dīvāngī ko pyaar kareñ yā nahīñ kareñ
kyā jaane luuT le koī aakar matā-e-ġham
hālāt sāzgār kareñ yā nahīñ kareñ
aaya hai phir salām-e-mohabbat adab ke saath
ham un pe e.atibār kareñ yā nahīñ kareñ
'sābir' kisī kī bazm se kuchh vāsta nahīñ
zikr-e-vafā-shi.ār kareñ yā nahīñ karīñ
hum zikr-e-nau-bahaar karen ya nahin karen
ek jabr iKHtiyar karen ya nahin karen
KHun-e-jigar charagh-e-wafa KHana-e-umid
ab un ka intizar karen ya nahin karen
zanjir ko sanbhaal ke baiThe hain der se
diwangi ko pyar karen ya nahin karen
kya jaane luT le koi aakar mata-e-gham
haalat sazgar karen ya nahin karen
aaya hai phir salam-e-mohabbat adab ke sath
hum un pe eatibar karen ya nahin karen
'sabir' kisi ki bazm se kuchh wasta nahin
zikr-e-wafa-shiar karen ya nahin karin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.