hamara aap ka rishta tamam umr chale
hamārā aap kā rishta tamām umr chale
ye do diloñ kā bharosa tamām umr chale
safar meñ tum ho agar ham-safar to kyā kahne
duā hai ishq kā rishta tamām umr chale
vo aaj mujh se muḳhātib hue haiñ muddat meñ
ḳhudā kare ki ye ḳhutba tamām umr chale
kisī tarah bhī munāsib nahīñ mohabbat meñ
zarā sī baat kā jhagḌā tamām umr chale
bas itnī baat samajh kar guzāro apnī hayāt
tamām umr kā saudā tamām umr chale
hai us ke chāroñ taraf bhiiḌ hirs vāloñ kī
to phir vo kyoñ na akelā tamām umr chale
mirī duā hai yahī mudda.ā bhī koshish bhī
ki muflisī tirā ḳharcha tamām umr chale
yahāñ kī āb-o-havā raas aa ga.ī 'rāshid'
na ḳhatm ho kabhī sahrā tamām umr chale
hamara aap ka rishta tamam umr chale
ye do dilon ka bharosa tamam umr chale
safar mein tum ho agar ham-safar to kya kahne
dua hai ishq ka rishta tamam umr chale
wo aaj mujh se muKHatib hue hain muddat mein
KHuda kare ki ye KHutba tamam umr chale
kisi tarah bhi munasib nahin mohabbat mein
zara si baat ka jhagDa tamam umr chale
bas itni baat samajh kar guzaro apni hayat
tamam umr ka sauda tamam umr chale
hai us ke chaaron taraf bhiD hirs walon ki
to phir wo kyon na akela tamam umr chale
meri dua hai yahi muddaa bhi koshish bhi
ki muflisi tera KHarcha tamam umr chale
yahan ki aab-o-hawa ras aa gai 'rashid'
na KHatm ho kabhi sahra tamam umr chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.