hamara ashk nahin hai ye qadr-e-gauhar hai
hamārā ashk nahīñ hai ye qadr-e-gauhar hai
shikast zabt na kahiye use ye jauhar hai
usī ne dho.e haiñ dāman ke daaġh ai hamdam
usī kā aaj bhī patthar ke dil meñ kuchh Dar hai
hadīs-e-ranj-o-alam se Darā na ai nāseh
hadīs-e-ranj-o-alam hī to aaj ghar ghar hai
ḳhudāyā is se ziyāda huā to kyā hogā
nizām-e-zīst bahut āj-kal mukaddar hai
sar-e-niyāz kī jis ko sadā talāsh rahī
agar mile jo muqaddar se aap kā dar hai
tumhāre jalve pe mauqūf hai nizām-e-hayāt
agarche tuur kā qissa mujhe bhī azbar hai
fareb khā ke bhī vā'doñ pe e’tibār ai 'nūr'
'ajab shu.ūr-e-vafā terā mere dilbar hai
hamara ashk nahin hai ye qadr-e-gauhar hai
shikast zabt na kahiye use ye jauhar hai
usi ne dhoe hain daman ke dagh ai hamdam
usi ka aaj bhi patthar ke dil mein kuchh Dar hai
hadis-e-ranj-o-alam se Dara na ai naseh
hadis-e-ranj-o-alam hi to aaj ghar ghar hai
KHudaya is se ziyaada hua to kya hoga
nizam-e-zist bahut aaj-kal mukaddar hai
sar-e-niyaz ki jis ko sada talash rahi
agar mile jo muqaddar se aap ka dar hai
tumhaare jalwe pe mauquf hai nizam-e-hayat
agarche tur ka qissa mujhe bhi azbar hai
fareb kha ke bhi wa'don pe e’tibar ai 'nur'
'ajab shuur-e-wafa tera mere dilbar hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 244)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.