hamara dil hi dariya ki agar manjdhaar ho jae
hamārā dil hī dariyā kī agar mañjdhār ho jaa.e
to kashtī ḳhvāhishoñ kī Duub kar bhī paar ho jaa.e
mile khul kar sabhī se aur phir bezār ho jaa.e
to jiinā aise dil ke saath ik āzār ho jaa.e
hameñ raat aur din kī kashmakash achchhī nahīñ lagtī
agar ye bhī na ho to zindagī be-kār ho jaa.e
ḳhamoshī is tarah taarī hai apnī bastiyoñ meñ ab
ki ik patte kī jumbish peḌ kī guftār ho jaa.e
amīr-e-shahr kī nīñdeñ na uḌ jaa.eñ to tum kahnā
tumhārā ek bhī sapnā agar bedār ho jaa.e
sabhī se itnī lekin qurbateñ vo chāhtā kyoñ hai
ki koī sāmne aa.e to bas takrār ho jaa.e
kisī kī rahbarī 'bebāk' ham se kis tarah hogī
na jaane kab hamārī fikr ḳhud-muḳhtār ho jaa.e
hamara dil hi dariya ki agar manjdhaar ho jae
to kashti KHwahishon ki Dub kar bhi par ho jae
mile khul kar sabhi se aur phir bezar ho jae
to jina aise dil ke sath ek aazar ho jae
hamein raat aur din ki kashmakash achchhi nahin lagti
agar ye bhi na ho to zindagi be-kar ho jae
KHamoshi is tarah tari hai apni bastiyon mein ab
ki ek patte ki jumbish peD ki guftar ho jae
amir-e-shahr ki ninden na uD jaen to tum kahna
tumhaara ek bhi sapna agar bedar ho jae
sabhi se itni lekin qurbaten wo chahta kyon hai
ki koi samne aae to bas takrar ho jae
kisi ki rahbari 'bebak' hum se kis tarah hogi
na jaane kab hamari fikr KHud-muKHtar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.