hamara ishq hai tafriq in-o-an se buland
hamārā ishq hai tafrīq īñ-o-āñ se buland
zamīñ-nashīñ haiñ magar haiñ ham āsmāñ se buland
bahār ḳhāk-ba-damāñ hai pastiyoñ meñ abhī
chaman agarche umīdoñ kā hai ḳhizāñ se buland
hayāt-e-qatra hai dariyā ke saath vābasta
vo uḌ gayā jo huā mauja-e-ravāñ se buland
ḳhirām-gāh-e-nigārāñ agar nahīñ na sahī
magar maiñ dil ko samajhtā huuñ kahkashāñ se buland
mazāq-e-ishq nahīñ pā-e-band-e-dair-o-haram
hamārā maslak-e-dīñ hai har āstāñ se buland
'salām' hañstī huī bijliyoñ kā toḌ ye hai
ki āshiyāñ meñ raho fikr-e-āshiyāñ se buland
hamara ishq hai tafriq in-o-an se buland
zamin-nashin hain magar hain hum aasman se buland
bahaar KHak-ba-daman hai pastiyon mein abhi
chaman agarche umidon ka hai KHizan se buland
hayat-e-qatra hai dariya ke sath wabasta
wo uD gaya jo hua mauja-e-rawan se buland
KHiram-gah-e-nigaran agar nahin na sahi
magar main dil ko samajhta hun kahkashan se buland
mazaq-e-ishq nahin pa-e-band-e-dair-o-haram
hamara maslak-e-din hai har aastan se buland
'salam' hansti hui bijliyon ka toD ye hai
ki aashiyan mein raho fikr-e-ashiyan se buland
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.