hamara ishq kisi ki samajh mein aa na saka
hamārā ishq kisī kī samajh meñ aa na sakā
ki hafte bhar se ziyāda koī nibhā na sakā
mire liye jo har ik dukh uThānā chāhtā thā
paḌā jo vaqt to vo phone bhī uThā na sakā
kahāñ to sochā thā siine se lag ke ro.ūñgā
milā to haal bhī apnā use sunā na sakā
vo jis kī choT pe aañsū bahā rahe the ham
hamārī maut kā manzar use rulā na sakā
kaTī jo shāḳh shajar se to phir harī na huī
maiñ TuuTe dil se koī phuul bhī khilā na sakā
hamara ishq kisi ki samajh mein aa na saka
ki hafte bhar se ziyaada koi nibha na saka
mere liye jo har ek dukh uThana chahta tha
paDa jo waqt to wo phone bhi uTha na saka
kahan to socha tha sine se lag ke rounga
mila to haal bhi apna use suna na saka
wo jis ki choT pe aansu baha rahe the hum
hamari maut ka manzar use rula na saka
kaTi jo shaKH shajar se to phir hari na hui
main TuTe dil se koi phul bhi khila na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.