hamara KHwab se rishta bahut purana hai
hamārā ḳhvāb se rishta bahut purānā hai
hamāre dar pe umangoñ kā āstāna hai
nazar se duur kahīñ barq girtī jaatī hai
nahīñ ḳhabar ki qafas hai yā āshiyāna hai
ufuq ke paar se aayā hai koī sandesa
faqat ye yād-dahānī ki lauT aanā hai
hamāre hijr meñ aañsū bahā rahā hai koī
ḳhabar karo ki hamārā yahī Thikāna hai
vahāñ-vahāñ tirī ḳhushbū bikhar ga.ī hogī
jahāñ-jahāñ mirā bikhrā huā fasāna hai
maiñ lauT aayā to pahchān lījiyegā mujhe
ki muskurāne kā andāz to purānā hai
safar-nasīb huuñ 'hammād' vassalām du'ā
hamāre saath safar meñ gayā zamāna hai
hamara KHwab se rishta bahut purana hai
hamare dar pe umangon ka aastana hai
nazar se dur kahin barq girti jati hai
nahin KHabar ki qafas hai ya aashiyana hai
ufuq ke par se aaya hai koi sandesa
faqat ye yaad-dahani ki lauT aana hai
hamare hijr mein aansu baha raha hai koi
KHabar karo ki hamara yahi Thikana hai
wahan-wahan teri KHushbu bikhar gai hogi
jahan-jahan mera bikhra hua fasana hai
main lauT aaya to pahchan lijiyega mujhe
ki muskurane ka andaz to purana hai
safar-nasib hun 'hammad' wassalam du'a
hamare sath safar mein gaya zamana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.