hamara kya hamare waste sau dar Thikane hain
hamārā kyā hamāre vāste sau dar Thikāne haiñ
kisī se duur jaane ke bahut saare bahāne haiñ
guzarte vaqt ke mānind tanhā chhoḌne vaale
chale jaao mujhe bhī ab tumhāre ḳhat jalāne haiñ
hamāre biich kī duurī kabhī kam ho nahīñ saktī
tirī ḳhushiyāñ haiñ kal kī aur mere ġham purāne haiñ
koī aisā ho paimāna jo maape ādmiyyat ko
yahāñ patthar banāne ke bahut se kār-ḳhāne haiñ
bhulānā ham ko to 'satya' kabhī āsāñ nahīñ hogā
hamāre saath meñ guzrī huī sadiyāñ zamāne haiñ
hamara kya hamare waste sau dar Thikane hain
kisi se dur jaane ke bahut sare bahane hain
guzarte waqt ke manind tanha chhoDne wale
chale jao mujhe bhi ab tumhaare KHat jalane hain
hamare bich ki duri kabhi kam ho nahin sakti
teri KHushiyan hain kal ki aur mere gham purane hain
koi aisa ho paimana jo mape aadmiyyat ko
yahan patthar banane ke bahut se kar-KHane hain
bhulana hum ko to 'satya' kabhi aasan nahin hoga
hamare sath mein guzri hui sadiyan zamane hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.