hamara man nahin lagta yahan par
hamārā man nahīñ lagtā yahāñ par
agar jaate bhī to jaate kahāñ par
tumhārī kal jo nathunī kho ga.ī thī
banī hai chāñd dekho āsmāñ par
kabhī chūme the us ke hoñT ham ne
abhī tak zā.iqa hai is zabāñ par
hamesha boltī ho ham mileñge
batātī hī nahīñ lekin kahāñ par
zarā sī baat par TuuTe haiñ rishte
kahāñ rahtā hai qaabū ab zabāñ par
batā.eñ kyā tumheñ kal shab kahāñ the
bahut rusvā.ī hai rāz-e-nihāñ par
hameñ jaanā kahāñ hai jānte haiñ
nazar rakkhe hue haiñ āsmāñ par
hamara man nahin lagta yahan par
agar jate bhi to jate kahan par
tumhaari kal jo nathuni kho gai thi
bani hai chand dekho aasman par
kabhi chume the us ke honT hum ne
abhi tak zaiqa hai is zaban par
hamesha bolti ho hum milenge
batati hi nahin lekin kahan par
zara si baat par TuTe hain rishte
kahan rahta hai qabu ab zaban par
bataen kya tumhein kal shab kahan the
bahut ruswai hai raaz-e-nihan par
hamein jaana kahan hai jaante hain
nazar rakkhe hue hain aasman par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.