hamara masala hal ho raha hai
hamārā mas.ala hal ho rahā hai
ki ab ye shahr jañgal ho rahā hai
kisī ne apnī naav kyā utārī
ye dariyā jaise pāgal ho rahā hai
musalsal ruuh zaḳhmī ho rahī hai
badan mismār pal pal ho rahā hai
maiñ shiddat dhuup kī jab sah chukā huuñ
koī aise hī bādal ho rahā hai
in āñkhoñ kī adam-e-dilchaspiyoñ se
hamārā ḳhvāb bojhal ho rahā hai
mirī sāñsoñ kā jaane kyā banegā
tirā aanā mo.attal ho rahā hai
jahāñ ke āḳhirī hisse meñ huuñ ab
safar-nāma mukammal ho rahā hai
hamara masala hal ho raha hai
ki ab ye shahr jangal ho raha hai
kisi ne apni naw kya utari
ye dariya jaise pagal ho raha hai
musalsal ruh zaKHmi ho rahi hai
badan mismar pal pal ho raha hai
main shiddat dhup ki jab sah chuka hun
koi aise hi baadal ho raha hai
in aankhon ki adam-e-dilchaspiyon se
hamara KHwab bojhal ho raha hai
meri sanson ka jaane kya banega
tera aana moattal ho raha hai
jahan ke aaKHiri hisse mein hun ab
safar-nama mukammal ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.