hamara qissa-e-tahsin subh-o-sham aaya
hamārā qissa-e-tahsīn sub.h-o-shām aaya
jahāñ se chheḌ diyā us meñ terā naam aaya
junūñ ko naam to har chand ik se ek mile
magar sirishta-e-hastī meñ ik na kaam aaya
use ham apnā samajh baiThe jo na apnā thā
ik aisā getī-e-jazbāt meñ maqām aaya
matā-e-qalb-o-nazar le ke ham vahāñ pahuñche
jahāñ na jazba-e-be-iḳhtiyār kaam aaya
talāsh-e-zāt meñ apnī shanāḳht kho baiThe
ḳhudī pe baar thā jo phir vahī maqām aaya
jo baat bhī huī mub.ham huī bharam na khulā
rah-e-talab meñ vahī bārhā maqām aaya
'zubair' jis kā rahā intizār saarī umr
salām kar ke gayā jab na phir salām aaya
hamara qissa-e-tahsin subh-o-sham aaya
jahan se chheD diya us mein tera nam aaya
junun ko nam to har chand ek se ek mile
magar sirishta-e-hasti mein ek na kaam aaya
use hum apna samajh baiThe jo na apna tha
ek aisa geti-e-jazbaat mein maqam aaya
mata-e-qalb-o-nazar le ke hum wahan pahunche
jahan na jazba-e-be-iKHtiyar kaam aaya
talash-e-zat mein apni shanaKHt kho baiThe
KHudi pe bar tha jo phir wahi maqam aaya
jo baat bhi hui mubham hui bharam na khula
rah-e-talab mein wahi barha maqam aaya
'zubair' jis ka raha intizar sari umr
salam kar ke gaya jab na phir salam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.