hamara zikr bhi aane laga rangin bayanon mein
hamārā zikr bhī aane lagā rangīñ bayānoñ meñ
ki ham ḳhūn-e-jigar se rang bharte haiñ fasānoñ meñ
koī maane na maane is ko lekin ye haqīqat hai
ki urdu hai bahut pyārī zabāñ saarī zabānoñ meñ
bahāroñ ne chaman meñ phir guloñ kā saaz chheḌā hai
anādil kis tarah ḳhāmosh baiTheñ āshiyānoñ meñ
guloñ se pyaar ḳhāroñ se jinheñ nafrat rahī aksar
kuchh aisī hastiyāñ bhī haiñ chaman ke pāsbānoñ meñ
jabīn-e-shauq jis ke vāste pahroñ machaltī hai
tumhārā āstāñ vo āstāñ hai āstānoñ meñ
sadā dil ke qarīñ rah kar nazar se duur rahtā hai
ik aisā mehrbāñ bhī hai hamāre mehrbānoñ meñ
mazāq-e-sher ne ham ko kahāñ pahuñchā diyā 'faizī'
hamārī dhuum hai sher-o-suḳhan ke qadr-dānoñ meñ
hamara zikr bhi aane laga rangin bayanon mein
ki hum KHun-e-jigar se rang bharte hain fasanon mein
koi mane na mane is ko lekin ye haqiqat hai
ki urdu hai bahut pyari zaban sari zabanon mein
bahaaron ne chaman mein phir gulon ka saz chheDa hai
anadil kis tarah KHamosh baiThen aashiyanon mein
gulon se pyar KHaron se jinhen nafrat rahi aksar
kuchh aisi hastiyan bhi hain chaman ke pasbanon mein
jabin-e-shauq jis ke waste pahron machalti hai
tumhaara aastan wo aastan hai aastanon mein
sada dil ke qarin rah kar nazar se dur rahta hai
ek aisa mehrban bhi hai hamare mehrbanon mein
mazaq-e-sher ne hum ko kahan pahuncha diya 'faizi'
hamari dhum hai sher-o-suKHan ke qadr-danon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.