hamara zikr jo aaya to yun pukara wo
hamārā zikr jo aaya to yuuñ pukārā vo
anā-parast farebī suḳhan kā maarā vo
dhueñ meñ Dhaltā huā be-imān dīpak maiñ
falak-nashīn chamaktā huā sitārā vo
shab-e-visāl kā tum māñgte ho ham se hisāb
magar jo vaqt tumhāre binā guzārā vo
'ajīb rishte ne bāñdhā huā hai donoñ ko
maiñ naqsh dhuup kā shabnam kā isti'āra vo
samajh rahā thā jise maiñ bas ek mauj-e-sarāb
jaḌeñ ukhāḌ gayā merī tez dhārā vo
na jaane kis kī nazar ko fareb detā hai
hamārī aañkh se ojhal huā nazārā vo
jhalak rahā thā jo tasvīr se mirī 'irfān'
hai ek ḳhvāb se mansūb rang saarā vo
hamara zikr jo aaya to yun pukara wo
ana-parast farebi suKHan ka mara wo
dhuen mein Dhalta hua be-iman dipak main
falak-nashin chamakta hua sitara wo
shab-e-visal ka tum mangte ho hum se hisab
magar jo waqt tumhaare bina guzara wo
'ajib rishte ne bandha hua hai donon ko
main naqsh dhup ka shabnam ka isti'ara wo
samajh raha tha jise main bas ek mauj-e-sarab
jaDen ukhaD gaya meri tez dhaara wo
na jaane kis ki nazar ko fareb deta hai
hamari aankh se ojhal hua nazara wo
jhalak raha tha jo taswir se meri 'irfan'
hai ek KHwab se mansub rang sara wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.