hamare aage raqib-e-siyah-ru kya hai
Interesting Fact
Bazm-e-Tahammul, 19 Dec 1965
hamāre aage raqīb-e-siyāh-rū kyā hai
hue jo dost tum apne to phir adū kyā hai
na jaane kitne hī aise haiñ ek tū kyā hai
baḌe-baḌoñ kī jahāñ meñ ab aabrū kyā hai
ragoñ meñ sirf tamavvuj kī aarzū kyā hai
jo inqalāb na laa.e to phir lahū kyā hai
bahār aate hī vahshat agar le añgḌā.ī
to phir ye zaḳhm ke Tāñke haiñ kyā rafū kyā hai
mileñ to pūchheñ ye arbāb-e-husn jauhar se
ġharaz nahīñ hai to duniyā-e-rañg-o-bū kyā hai
haqīqatoñ pe abhī haiñ majāz ke parde
jo ye haTeñ to samajh meñ phir aa.e to kyā hai
nigāh-e-rahmat-e-haq meñ ye aa ga.e varna
hamāre ashk-e-nadāmat kī aabrū kyā hai
jo haath dho chukā ḳhud zindagī se ai 'sho.ala'
namāz-e-ishq hai kyā us kī phir vuzū kyā hai
hamare aage raqib-e-siyah-ru kya hai
hue jo dost tum apne to phir adu kya hai
na jaane kitne hi aise hain ek tu kya hai
baDe-baDon ki jahan mein ab aabru kya hai
ragon mein sirf tamawwuj ki aarzu kya hai
jo inqalab na lae to phir lahu kya hai
bahaar aate hi wahshat agar le angDai
to phir ye zaKHm ke Tanke hain kya rafu kya hai
milen to puchhen ye arbab-e-husn jauhar se
gharaz nahin hai to duniya-e-rang-o-bu kya hai
haqiqaton pe abhi hain majaz ke parde
jo ye haTen to samajh mein phir aae to kya hai
nigah-e-rahmat-e-haq mein ye aa gae warna
hamare ashk-e-nadamat ki aabru kya hai
jo hath dho chuka KHud zindagi se ai 'shoala'
namaz-e-ishq hai kya us ki phir wuzu kya hai
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 165)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.