hamare ahd ke chehre badal gae yaro
hamāre ahd ke chehre badal ga.e yaaro
ġhazab hai ḳhuun ke rishte badal ga.e yaaro
hamāre apne hue ġhair ġhair haiñ apne
rivāyatoñ ke tarīqe badal ga.e yaaro
badal rahe haiñ jo insān to ta.ajjub kyā
ye daur vo hai farishte badal ga.e yaaro
nishān jin pe lagā.e the jītne ke liye
na jaane kaise vo patte badal ga.e yaaro
bahut ġhurūr thā ham ko purāne sikkoñ par
ba-hukm-e-shāh vo sikke badal ga.e yaaro
hamārā aks bhī qātil hameñ nazar aaya
hamāre jab se aqīde badal ga.e yaaro
kahāñ talāsh karoge nuqūsh-e-pā mere
tamām shahr ke raste badal ga.e yaaro
na koī chor kā khaTkā na ġham luTeroñ kā
añdherī raat ke pahre badal ga.e yaaro
karegā ab vo zamāne se kyā gila ai 'fauq'
jab us ke apne hī saare badal ga.e yaaro
hamare ahd ke chehre badal gae yaro
ghazab hai KHun ke rishte badal gae yaro
hamare apne hue ghair ghair hain apne
riwayaton ke tariqe badal gae yaro
badal rahe hain jo insan to tajjub kya
ye daur wo hai farishte badal gae yaro
nishan jin pe lagae the jitne ke liye
na jaane kaise wo patte badal gae yaro
bahut ghurur tha hum ko purane sikkon par
ba-hukm-e-shah wo sikke badal gae yaro
hamara aks bhi qatil hamein nazar aaya
hamare jab se aqide badal gae yaro
kahan talash karoge nuqush-e-pa mere
tamam shahr ke raste badal gae yaro
na koi chor ka khaTka na gham luTeron ka
andheri raat ke pahre badal gae yaro
karega ab wo zamane se kya gila ai 'fauq'
jab us ke apne hi sare badal gae yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.