hamare ashk palkon par dhare hain
hamāre ashk palkoñ par dhare haiñ
mohabbat meñ qayāmat ke maze haiñ
mohabbat kī rah-e-dushvār par ham
ishāra pā ke terā chal rahe haiñ
hamārī talḳh guftārī pe mat jā
ki ham kaḌve magar dil ke khare haiñ
unheñ bar-ḳhud ġhalat kahnā hai bar-haq
jo mulk-o-qaum ke rahbar bane haiñ
kiye haiñ jis pe ham ne laakh ehsān
usī se jaan ke laale paḌe haiñ
jinheñ dekhe hue ik umr guzrī
mujhe shiddat se vo yaad aa rahe haiñ
nazar kyā aa.e un meñ jalva-e-haq
diloñ ke zang-ḳhurda aa.ine haiñ
faqīroñ ko hiqārat se na yuuñ dekh
inhīñ meñ kuchh bahut pahuñche hue haiñ
mire soz-e-tarannum se yakāyak
charāġh-e-kushta-e-shab jal uThe haiñ
hamārī raakh se sho.ale uThā do
hasīnoñ ham to jal jal kar bujhe haiñ
jinheñ Thukrā rahe haiñ ham bahar-gām
vo zarre mahr se chhūTe hue haiñ
abhī tak vaqt ham par mehrbāñ hai
ḳhudā ke fazl se achchhe bhale haiñ
ulajh kar rah ga.e haiñ vo masā.il
siyāsat ne jo paidā kar diye haiñ
unheñ 'maġhmūm' kab bhūlī hai duniyā
mohabbat meñ jo dīvāne hue haiñ
hamare ashk palkon par dhare hain
mohabbat mein qayamat ke maze hain
mohabbat ki rah-e-dushwar par hum
ishaara pa ke tera chal rahe hain
hamari talKH guftari pe mat ja
ki hum kaDwe magar dil ke khare hain
unhen bar-KHud ghalat kahna hai bar-haq
jo mulk-o-qaum ke rahbar bane hain
kiye hain jis pe hum ne lakh ehsan
usi se jaan ke lale paDe hain
jinhen dekhe hue ek umr guzri
mujhe shiddat se wo yaad aa rahe hain
nazar kya aae un mein jalwa-e-haq
dilon ke zang-KHurda aaine hain
faqiron ko hiqarat se na yun dekh
inhin mein kuchh bahut pahunche hue hain
mere soz-e-tarannum se yakayak
charagh-e-kushta-e-shab jal uThe hain
hamari rakh se shoale uTha do
hasinon hum to jal jal kar bujhe hain
jinhen Thukra rahe hain hum bahar-gam
wo zarre mahr se chhuTe hue hain
abhi tak waqt hum par mehrban hai
KHuda ke fazl se achchhe bhale hain
ulajh kar rah gae hain wo masail
siyasat ne jo paida kar diye hain
unhen 'maghmum' kab bhuli hai duniya
mohabbat mein jo diwane hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.