hamare baad charcha kar rahe hain
hamāre baa'd charchā kar rahe haiñ
tirī yādoñ ko rusvā kar rahe haiñ
ġhazal kī naav meñ baiThe hue ham
tire ġham se kinārā kar rahe hai
tabassum thā kabhī gahnā hamārā
udāsī se guzārā kar rahe haiñ
tirī ye be-hayā.ī aur taġhāful
raqīboñ ko ishāra kar rahe haiñ
burā hai vaqt so ham zindagī meñ
kisī par bhī bharosa kar rahe hai
shikāyat kyā kareñ ham dushmanoñ se
habīboñ se kinārā kar rahe haiñ
hamare ba'd charcha kar rahe hain
teri yaadon ko ruswa kar rahe hain
ghazal ki naw mein baiThe hue hum
tere gham se kinara kar rahe hai
tabassum tha kabhi gahna hamara
udasi se guzara kar rahe hain
teri ye be-hayai aur taghaful
raqibon ko ishaara kar rahe hain
bura hai waqt so hum zindagi mein
kisi par bhi bharosa kar rahe hai
shikayat kya karen hum dushmanon se
habibon se kinara kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.