hamare beach agarche raha nahin kuchh bhi
hamāre beach agarche rahā nahīñ kuchh bhī
magar ye dil hai abhī māntā nahīñ kuchh bhī
ham us ke ġham ko in āñkhoñ meñ le ke phirte haiñ
magar vo shaḳhs hameñ jāntā nahīñ kuchh bhī
ye kaisī dhuul sī rāhoñ meñ uḌtī phirtī hai
tū ai musāfir-e-jāñ kyā bachā nahīñ kuchh bhī
ham apne apne dil-o-jāñ kī ḳhair māñgte haiñ
ye ijz kuchh bhī nahīñ hai anā nahīñ kuchh bhī
bas ek manzar-e-ḳhālī maiñ uuñgh letā huuñ
vo ḳhush-nazar hai magar dekhtā nahīñ kuchh bhī
tū bol uThtā hai ham ko bhalā bhī lagtā hai
magar tū yaar mire sochtā nahīñ kuchh bhī
kahīñ pe ho ki na ho izzat-e-gunah-gārāñ
magar yahāñ koī tere sivā nahīñ kuchh bhī
gumāñ to ḳhair mohabbat kā thā par ab is se
ba-sū-e-rañj-talab vāsta nahīñ kuchh bhī
hamāre haal pe tum ko malāl tak bhī nahīñ
to kyā jo rabt hamārā thaa, thā nahīñ kuchh bhī
kabhī jo aao to ham ko jo tum se kahnī hai
yūñhī sī baat hai ab mudda.ā nahīñ kuchh bhī
hamare beach agarche raha nahin kuchh bhi
magar ye dil hai abhi manta nahin kuchh bhi
hum us ke gham ko in aankhon mein le ke phirte hain
magar wo shaKHs hamein jaanta nahin kuchh bhi
ye kaisi dhul si rahon mein uDti phirti hai
tu ai musafir-e-jaan kya bacha nahin kuchh bhi
hum apne apne dil-o-jaan ki KHair mangte hain
ye ijz kuchh bhi nahin hai ana nahin kuchh bhi
bas ek manzar-e-KHali main ungh leta hun
wo KHush-nazar hai magar dekhta nahin kuchh bhi
tu bol uThta hai hum ko bhala bhi lagta hai
magar tu yar mere sochta nahin kuchh bhi
kahin pe ho ki na ho izzat-e-gunah-garan
magar yahan koi tere siwa nahin kuchh bhi
guman to KHair mohabbat ka tha par ab is se
ba-su-e-ranj-talab wasta nahin kuchh bhi
hamare haal pe tum ko malal tak bhi nahin
to kya jo rabt hamara tha, tha nahin kuchh bhi
kabhi jo aao to hum ko jo tum se kahni hai
yunhi si baat hai ab muddaa nahin kuchh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.