hamare chahne wale rahe the donon taraf
hamāre chāhne vaale rahe the donoñ taraf
lakīr khīñchī ga.ī ham khaḌe the donoñ taraf
ḳhudā ke naam pe ik bhiiḌ ne hameñ kaaTā
kaTe bhī aise ki kaT kar gire the donoñ taraf
ḳhudā kā kaam mohabbat hai kahne vaale log
kaTār haath meñ le kar khaḌe the donoñ taraf
chhiḌī thī jang bahut pahle raushnī ke liye
charāġh jalte hue bujh ga.e the donoñ taraf
jahāñ pe raah meñ chhoḌā thā aap ne mujh ko
vahīñ se rāste kaTne lage the donoñ taraf
vo aspatāl meñ aa.ī thī dekhne mujh ko
tamām zaḳhm vahīñ bhar ga.e the donoñ taraf
hamare chahne wale rahe the donon taraf
lakir khinchi gai hum khaDe the donon taraf
KHuda ke nam pe ek bhiD ne hamein kaTa
kaTe bhi aise ki kaT kar gire the donon taraf
KHuda ka kaam mohabbat hai kahne wale log
kaTar hath mein le kar khaDe the donon taraf
chhiDi thi jang bahut pahle raushni ke liye
charagh jalte hue bujh gae the donon taraf
jahan pe rah mein chhoDa tha aap ne mujh ko
wahin se raste kaTne lage the donon taraf
wo aspatal mein aai thi dekhne mujh ko
tamam zaKHm wahin bhar gae the donon taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.