hamare dard ka darman kisi ko kya malum
hamāre dard kā darmāñ kisī ko kyā mā'lūm
hazār zaḳhm haiñ pinhāñ kisī ko kyā mā'lūm
jise sajāyā thā dil ne baḌe ḳhulūs ke saath
chaman hai aaj vo vīrāñ kisī ko kyā mā'lūm
bahut dinoñ se nigāh-e-karam nahīñ uThtī
sitam hai yā koī ehsāñ kisī ko kyā mā'lūm
ḳhushī ke giit kabhī jis makāñ meñ gaa.e the
banā hai ab vahī zindāñ kisī ko kyā mā'lūm
guzar rahā hai pur-āshob daur se 'bismil'
hamāre daur kā insāñ kisī ko kyā mā'lūm
hamare dard ka darman kisi ko kya ma'lum
hazar zaKHm hain pinhan kisi ko kya ma'lum
jise sajaya tha dil ne baDe KHulus ke sath
chaman hai aaj wo viran kisi ko kya ma'lum
bahut dinon se nigah-e-karam nahin uThti
sitam hai ya koi ehsan kisi ko kya ma'lum
KHushi ke git kabhi jis makan mein gae the
bana hai ab wahi zindan kisi ko kya ma'lum
guzar raha hai pur-ashob daur se 'bismil'
hamare daur ka insan kisi ko kya ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.