hamare dard ka usko jo pas ho jae
hamāre dard kā us ko jo paas ho jaa.e
hameñ bhī jiine kī thoḌī sī aas ho jaa.e
shahīd-e-ishq ko ġhusl-o-kafan mile na mile
magar vo dafn tire ghar ke paas ho jaa.e
tumhārā farz hai tum us pe Daal do parda
tumhāre sāmne jo be-libās ho jaa.e
mileñge tum ko inhīñ pattharoñ meñ hiire bhī
nigāh shart hai jauhar-shanās ho jaa.e
maiñ jāntā huuñ tirā āj-kal jo maqsad hai
hamāre zehnoñ pe taarī hirās ho jaa.e
tumhārī bazm meñ maanā guzār luuñ ik din
tamām umr kī lekin na pyaas ho jaa.e
vahāñ se apnī nazar pher kar guzar 'muztar'
jahāñ dikhāve kā tujh ko qayās ho jaa.e
hamare dard ka us ko jo pas ho jae
hamein bhi jine ki thoDi si aas ho jae
shahid-e-ishq ko ghusl-o-kafan mile na mile
magar wo dafn tere ghar ke pas ho jae
tumhaara farz hai tum us pe Dal do parda
tumhaare samne jo be-libas ho jae
milenge tum ko inhin pattharon mein hire bhi
nigah shart hai jauhar-shanas ho jae
main jaanta hun tera aaj-kal jo maqsad hai
hamare zehnon pe tari hiras ho jae
tumhaari bazm mein mana guzar lun ek din
tamam umr ki lekin na pyas ho jae
wahan se apni nazar pher kar guzar 'muztar'
jahan dikhawe ka tujh ko qayas ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.