hamare darmiyan kuchh silsile jaisa nahin lagta
hamāre darmiyāñ kuchh silsile jaisā nahīñ lagtā
so us se guftugū karnā bhī ab achchhā nahīñ lagtā
ye mumkin hai ki haq-goī meñ merā sar utar jaa.e
tumhāre shahr kā munsif mujhe sachchā nahīñ lagtā
bulandī peḌ se saa.e kī chādar chhīn letī hai
jo sāya-dār hotā hai bahut ūñchā nahīñ lagtā
maiñ qīmat dekh kar ik din khilaunā chhoḌ aayā thā
magar bachchī ne māñgā hai to ab mahñgā nahīñ lagtā
agar mohlat mile to 'ishq kā iz.hār kar lenā
ziyāda sabr bhī karne se phal mīThā nahīñ lagtā
hamare darmiyan kuchh silsile jaisa nahin lagta
so us se guftugu karna bhi ab achchha nahin lagta
ye mumkin hai ki haq-goi mein mera sar utar jae
tumhaare shahr ka munsif mujhe sachcha nahin lagta
bulandi peD se sae ki chadar chhin leti hai
jo saya-dar hota hai bahut uncha nahin lagta
main qimat dekh kar ek din khilauna chhoD aaya tha
magar bachchi ne manga hai to ab mahnga nahin lagta
agar mohlat mile to 'ishq ka izhaar kar lena
ziyaada sabr bhi karne se phal miTha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.