hamare dast-e-saKHa kasa-e-gadai hain
hamāre dast-e-saḳhā kāsa-e-gadā.ī haiñ
jo rahnumā the vo muhtāj-e-rahnumā.ī haiñ
jo mil bhī jaa.e to kaise uThā.eñge talvār
ye bad-nasīb to TuuTī huī kalā.ī haiñ
harīf jo bhī haiñ vo sab ke sab muqābil haiñ
jo vaar karte haiñ pīchhe se apne bhaa.ī haiñ
bas ek naam kī tasbīh roz-o-shab paḌhnā
mujhe ye lagtā hai ye dhaḌkaneñ parā.ī haiñ
ye aap hī kī navāzish hai mehrbānī hai
hamārī palkoñ pe jo sham.eñ jagmagā.ī haiñ
maiñ muntazir thā bahāroñ ke lauTne kā magar
mire dukhoñ kī ruteñ phir se lauT aa.ī haiñ
kahīñ bichhaḌne kī saa.at qarīb hī to nahīñ
'niyāz' āñkheñ achānak jo DabDabā.ī haiñ
hamare dast-e-saKHa kasa-e-gadai hain
jo rahnuma the wo muhtaj-e-rahnumai hain
jo mil bhi jae to kaise uThaenge talwar
ye bad-nasib to TuTi hui kalai hain
harif jo bhi hain wo sab ke sab muqabil hain
jo war karte hain pichhe se apne bhai hain
bas ek nam ki tasbih roz-o-shab paDhna
mujhe ye lagta hai ye dhaDkanen parai hain
ye aap hi ki nawazish hai mehrbani hai
hamari palkon pe jo shamen jagmagai hain
main muntazir tha bahaaron ke lauTne ka magar
mere dukhon ki ruten phir se lauT aai hain
kahin bichhaDne ki saat qarib hi to nahin
'niyaz' aankhen achanak jo DabDabai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.