hamare dhyan mein har lamha muskuraata hai
hamāre dhyān meñ har lamha muskurātā hai
vo ek shaḳhs hameñ ab bhī yaad aatā hai
jo hārtā hai mohabbat meñ jiit jaatā hai
phir is ke baa'd faqat qahqahe lagātā hai
koī na hogā mire baa'd mere jaisā yahāñ
ye baat mujh ko mirā rāz-dāñ batātā hai
ġhalat durust ke baare meñ jāntā nahīñ kuchh
maiñ kyā karūñ ki mujhe 'ishq raas aatā hai
tire vajūd se miT jaatī hai mirī vahshat
tirā yaqīn mujhe munfarid banātā hai
jo dā've karte haiñ sachchā.ī ke yahāñ 'mas'ūd'
phir un kā chehra hameñ saare sach batātā hai
hamare dhyan mein har lamha muskuraata hai
wo ek shaKHs hamein ab bhi yaad aata hai
jo haarta hai mohabbat mein jit jata hai
phir is ke ba'd faqat qahqahe lagata hai
koi na hoga mere ba'd mere jaisa yahan
ye baat mujh ko mera raaz-dan batata hai
ghalat durust ke bare mein jaanta nahin kuchh
main kya karun ki mujhe 'ishq ras aata hai
tere wajud se miT jati hai meri wahshat
tera yaqin mujhe munfarid banata hai
jo da'we karte hain sachchai ke yahan 'mas'ud'
phir un ka chehra hamein sare sach batata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.