hamare dil hi mein waiz ye raaz rahne de
hamāre dil hī meñ vaa.iz ye raaz rahne de
tujhe hasīnoñ se hai ehtirāz rahne de
havas parastoñ se kaisā hijāb kyā parda
bas ab ye sheva-e-andāz-o-nāz rahne de
agar adū se tujhe ham-kalām honā hai
mirī taraf nigah-e-dil-navāz rahne de
vo bazm-e-ġhair meñ ham se bhī kaash khul ke mile
hamāre ishq ko is tarah raaz rahne de
ajab bahār hai us kī ajiib rangīnī
hamāre ḳhuun ko dāman-tarāz rahne de
haiñ terī āñkhoñ meñ fitne bhare hue zālim
maiñ tere sadqe inheñ nīm-bāz rahne de
mazā aziyyat-e-ulfat kā kyā kaheñ nāseh
ye ek raaz hai ab is ko raaz rahne de
hazār tarah ke haiñ yuuñ to naġhme duniyā meñ
hameñ fidā-e-surūd-e-hijāz rahne de
ye chiiz kaam kī hai pardā-posh aib kī bhī
tū apnī riish ko vaa.iz darāz rahne de
uThā na 'bedil’-e-sajda-guzār ko dar se
ḳhudā ke vāste mahv-e-namāz rahne de
hamare dil hi mein waiz ye raaz rahne de
tujhe hasinon se hai ehtiraaz rahne de
hawas paraston se kaisa hijab kya parda
bas ab ye shewa-e-andaz-o-naz rahne de
agar adu se tujhe ham-kalam hona hai
meri taraf nigah-e-dil-nawaz rahne de
wo bazm-e-ghair mein hum se bhi kash khul ke mile
hamare ishq ko is tarah raaz rahne de
ajab bahaar hai us ki ajib rangini
hamare KHun ko daman-taraaz rahne de
hain teri aankhon mein fitne bhare hue zalim
main tere sadqe inhen nim-baz rahne de
maza aziyyat-e-ulfat ka kya kahen naseh
ye ek raaz hai ab is ko raaz rahne de
hazar tarah ke hain yun to naghme duniya mein
hamein fida-e-surud-e-hijaz rahne de
ye chiz kaam ki hai parda-posh aib ki bhi
tu apni rish ko waiz daraaz rahne de
uTha na 'bedil’-e-sajda-guzar ko dar se
KHuda ke waste mahw-e-namaz rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.