hamare dil ka na dar khaTkhaTa pareshani
hamāre dil kā na dar khaTkhaTā pareshānī
hazār ġham haiñ yahāñ lauT jā pareshānī
maiñ apne aap se uljhī huī huuñ muddat se
mazīd aa ke na uljhan baḌhā pareshānī
kisī bhī taur na ḳhātir meñ lā.ūñgī tujh ko
mujhe na apne ye tevar dikhā pareshānī
maiñ apnā dard sunā aa.ī huuñ daraḳhtoñ ko
mujhī ko kyuuñ rahe lāhaq sadā pareshānī
ajab savār hai vahshat so mujh se bach ke guzar
maiñ noch Dālūñgī chehrā tirā pareshānī
hamare dil ka na dar khaTkhaTa pareshani
hazar gham hain yahan lauT ja pareshani
main apne aap se uljhi hui hun muddat se
mazid aa ke na uljhan baDha pareshani
kisi bhi taur na KHatir mein laungi tujh ko
mujhe na apne ye tewar dikha pareshani
main apna dard suna aai hun daraKHton ko
mujhi ko kyun rahe lahaq sada pareshani
ajab sawar hai wahshat so mujh se bach ke guzar
main noch Dalungi chehra tera pareshani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.