hamare dil ka wo aalam hai un ke nam ke baad
hamāre dil kā vo 'ālam hai un ke naam ke baa'd
ki jaise raat kī raanī khilī ho shaam ke baa'd
vo shāḳh-e-gul kī tarah dast-e-ahmarīñ us kā
vo muḌ ke dekhnā us kā mujhe salām ke baa'd
har ek daur meñ ye sochte rahe ham log
ki ab sukūn milegā na.e nizām ke baa'd
maiñ saath chal to diyā huuñ magar ye ḳhauf bhī hai
ki tum fareb na de jaao chand gaam ke baa'd
bachāne nikle haiñ kis ko salāmatī daste
bachā hī kaun hai bastī meñ qatl-e-'ām ke baa'd
ye sar bachā ke guzargāh-e-hādsāt se ham
ḳhudā kā shukr kareñ ghar to aa.e shaam ke baa'd
fasād uljhe hue mas.aloñ kā hal to nahīñ
ye sho'le aur bhaḌakte haiñ intiqām ke baa'd
maiñ jaise TuuT gayā huuñ bikhar gayā huuñ 'bashīr'
'ajīb haal hai merā shikast-e-jām ke baa'd
hamare dil ka wo 'alam hai un ke nam ke ba'd
ki jaise raat ki rani khili ho sham ke ba'd
wo shaKH-e-gul ki tarah dast-e-ahmarin us ka
wo muD ke dekhna us ka mujhe salam ke ba'd
har ek daur mein ye sochte rahe hum log
ki ab sukun milega nae nizam ke ba'd
main sath chal to diya hun magar ye KHauf bhi hai
ki tum fareb na de jao chand gam ke ba'd
bachane nikle hain kis ko salamati daste
bacha hi kaun hai basti mein qatl-e-'am ke ba'd
ye sar bacha ke guzargah-e-hadsat se hum
KHuda ka shukr karen ghar to aae sham ke ba'd
fasad uljhe hue masalon ka hal to nahin
ye sho'le aur bhaDakte hain intiqam ke ba'd
main jaise TuT gaya hun bikhar gaya hun 'bashir'
'ajib haal hai mera shikast-e-jam ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.