hamare dil ki zamin par kaTaw aur baDha
hamāre dil kī zamīñ par kaTāv aur baḌhā
isī sabab se ġhamoñ kā bahāv aur baḌhā
maiñ niiñd kyā tire bāzār-e-shab meñ le aaya
phir us ke baad to ḳhvāboñ kā bhaav aur baḌhā
ye kaise ḳhvāb-zada rāstoñ meñ aa ga.e haiñ
ki jitnā aage baḌhe ham ghumāv aur baḌhā
yahīñ pahuñch ke maiñ Duubā huuñ bārhā mallāh
yahāñ se aage udhar duur naav aur baḌhā
takallufāt ne zanjīr bāñdh dī dil par
sukūn ḳhatm huā hai tanāv aur baḌhā
tamām dasht-e-badan meñ miThās jaag uThī
ragoñ meñ mauja-e-ḳhūñ kā dabāv aur baḌhā
ye aag mujh meñ utarne se Dar rahī hai 'nabīl'
ise havā de musalsal alaav aur baḌhā
hamare dil ki zamin par kaTaw aur baDha
isi sabab se ghamon ka bahaw aur baDha
main nind kya tere bazar-e-shab mein le aaya
phir us ke baad to KHwabon ka bhaw aur baDha
ye kaise KHwab-zada raston mein aa gae hain
ki jitna aage baDhe hum ghumaw aur baDha
yahin pahunch ke main Duba hun barha mallah
yahan se aage udhar dur naw aur baDha
takallufat ne zanjir bandh di dil par
sukun KHatm hua hai tanaw aur baDha
tamam dasht-e-badan mein miThas jag uThi
ragon mein mauja-e-KHun ka dabaw aur baDha
ye aag mujh mein utarne se Dar rahi hai 'nabil'
ise hawa de musalsal alaw aur baDha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.