hamare dil ko tera intizar kab se hai
hamāre dil ko tirā intizār kab se hai
ab aa bhī jā ki ye dil be-qarār kab se hai
tumhāre aane se gulshan mahak ye uThtā hai
tumhārī aas lagā.e bahār kab se hai
ab hans ke tanz ke tīroñ se vaar ḳhuub karo
tumheñ ḳhabar hai hameñ tum se pyaar kab se hai
mirā ye haal banā kar vo sab se pūchhtā hai
zarā batāo ye dīvāna-vār kab se hai
ye vo hī shaḳhs hai jo hañs ke baat kartā thā
tum hī kaho ki ye ab ashk-bār kab se hai
kahāñ talak yuuñ chhupāoge rāz-e-dil apnā
zamāne bhar ko ḳhabar hai ye pyaar kab se hai
ḳhudā kare vo ghaḌī jald aa.e ki jis meñ
kaheñ vo mujh se hameñ tum se pyaar kab se hai
tirī judā.ī kā ġham hañs ke sah rahā hai 'salīm'
ye tum samajhte ho ye ġham-gusār kab se hai
hamare dil ko tera intizar kab se hai
ab aa bhi ja ki ye dil be-qarar kab se hai
tumhaare aane se gulshan mahak ye uThta hai
tumhaari aas lagae bahaar kab se hai
ab hans ke tanz ke tiron se war KHub karo
tumhein KHabar hai hamein tum se pyar kab se hai
mera ye haal bana kar wo sab se puchhta hai
zara batao ye diwana-war kab se hai
ye wo hi shaKHs hai jo hans ke baat karta tha
tum hi kaho ki ye ab ashk-bar kab se hai
kahan talak yun chhupaoge raaz-e-dil apna
zamane bhar ko KHabar hai ye pyar kab se hai
KHuda kare wo ghaDi jald aae ki jis mein
kahen wo mujh se hamein tum se pyar kab se hai
teri judai ka gham hans ke sah raha hai 'salim'
ye tum samajhte ho ye gham-gusar kab se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.