hamare dil mein kisi gul-badan ke pyar ke phul
hamare dil mein kisi gul-badan ke pyar ke phul
Bharatdeep Mathur Deep
MORE BYBharatdeep Mathur Deep
hamāre dil meñ kisī gul-badan ke pyaar ke phuul
ki dastaras meñ nahīñ haiñ ye devdār ke phuul
taras rahe haiñ kisī lams-e-mo'tabar ke liye
mire ḳhayāl kī shāḳhoñ pe intizār ke phuul
kisī se koī tavaqqo' kā silsila hī nahīñ
baḌe kamāl ke hote haiñ ḳhār-zār ke phuul
koī bhī tujh pe mirī jaañ yaqīn kyoñ na kare
tire kalām se jhaḌte haiñ e.atibār ke phuul
unheñ bahār ke aane kā intizār kahāñ
pighaltī barf meñ khilte haiñ kohsār ke phuul
unheñ qubūl nahīñ āftāb kī dāvat
jalegā diip to phūleñge har-siñgār ke phuul
hamare dil mein kisi gul-badan ke pyar ke phul
ki dastaras mein nahin hain ye dewdar ke phul
taras rahe hain kisi lams-e-mo'tabar ke liye
mere KHayal ki shaKHon pe intizar ke phul
kisi se koi tawaqqo' ka silsila hi nahin
baDe kamal ke hote hain KHar-zar ke phul
koi bhi tujh pe meri jaan yaqin kyon na kare
tere kalam se jhaDte hain eatibar ke phul
unhen bahaar ke aane ka intizar kahan
pighalti barf mein khilte hain kohsar ke phul
unhen qubul nahin aaftab ki dawat
jalega dip to phulenge har-singar ke phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.