hamare dil se wafa ka yaqin chhuT gaya
hamāre dil se vafā kā yaqīn chhūT gayā
makāñ kī qaid se āḳhir makīn chhūT gayā
maiñ apne sher usī ko sunāne aayā thā
jo ek shaḳhs pas-e-sāma.īn chhūT gayā
subūt-e-qatl miTā kar vo mutma.in thā bahut
lahū kā daaġh sar-e-āstīn chhūT gayā
usī se hai shajar-e-sāya-dār kī ummīd
vo ek daana jo zer-e-zamīn chhūT gayā
tumhāre baad mire dil kī kyā haqīqat hai
ye vo añgūThī hai jis kā nagīn chhūT gayā
'jamīl' mere liye vaqt ke mo.arriḳh ne
likhā thā shaah magar harf-e-shīn chhūT gayā
hamare dil se wafa ka yaqin chhuT gaya
makan ki qaid se aaKHir makin chhuT gaya
main apne sher usi ko sunane aaya tha
jo ek shaKHs pas-e-samain chhuT gaya
subut-e-qatl miTa kar wo mutmain tha bahut
lahu ka dagh sar-e-astin chhuT gaya
usi se hai shajar-e-saya-dar ki ummid
wo ek dana jo zer-e-zamin chhuT gaya
tumhaare baad mere dil ki kya haqiqat hai
ye wo anguThi hai jis ka nagin chhuT gaya
'jamil' mere liye waqt ke moarriKH ne
likha tha shah magar harf-e-shin chhuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.