hamare ganw ki baaten nirali hi nirali hain
hamāre gaañv kī bāteñ nirālī hī nirālī haiñ
kahīñ Takkar nahīñ us kā sukūnat meñ suhūlat meñ
na sar pe chhat kā saaya hai na khāne ko koī roTī
koī insāñ nahīñ dikhtā haqīqat meñ fazīlat meñ
hue haiñ faisle jhūTe rahe va.ade adhūre se
bahut badlāv dekhā hai adālat meñ siyāsat meñ
faqat do vaqt hai aisā jahāñ maañ ro ke kahtī hai
mirā beTā rahe mahfūz hijrat meñ musībat meñ
kabhī mazdūr se pūchho tumhārā haal kaisā hai
kahegā rah gayā huuñ bas thakāvaT meñ to ġhurbat meñ
badan par qīmtī kapḌe savārī bādshāhoñ sī
bahut maġhrūr sāhab haiñ riyāsat meñ hukūmat meñ
sharābī ko kaho momin sahābī ko kaho kāfir
nahīñ hai farq koī kyā najāsat meñ tahārat meñ
mire vālid kī kamzorī batātī ik haqīqat hai
guzar jaatī hai saarī umr mehnat meñ mashaqqat meñ
jise apne barādar kī ḳhabar-gīrī nahīñ aatī
na likhnā naam un kā rab uḳhuvvat meñ atūfat meñ
abhī to māfiyāoñ ke mazālim hī baraste the
hukūmat kyuuñ muāvin ban ga.ī vahshat meñ dahshat meñ
koī saanī nahīñ 'irfān' ke haidar kā duniyā meñ
fasāhat meñ balāġhat meñ kitābat meñ ḳhitābat meñ
hamare ganw ki baaten nirali hi nirali hain
kahin Takkar nahin us ka sukunat mein suhulat mein
na sar pe chhat ka saya hai na khane ko koi roTi
koi insan nahin dikhta haqiqat mein fazilat mein
hue hain faisle jhuTe rahe wade adhure se
bahut badlaw dekha hai adalat mein siyasat mein
faqat do waqt hai aisa jahan man ro ke kahti hai
mera beTa rahe mahfuz hijrat mein musibat mein
kabhi mazdur se puchho tumhaara haal kaisa hai
kahega rah gaya hun bas thakawaT mein to ghurbat mein
badan par qimti kapDe sawari baadshahon si
bahut maghrur sahab hain riyasat mein hukumat mein
sharabi ko kaho momin sahabi ko kaho kafir
nahin hai farq koi kya najasat mein tahaarat mein
mere walid ki kamzori batati ek haqiqat hai
guzar jati hai sari umr mehnat mein mashaqqat mein
jise apne baradar ki KHabar-giri nahin aati
na likhna nam un ka rab uKHuwwat mein atufat mein
abhi to mafiyaon ke mazalim hi baraste the
hukumat kyun muawin ban gai wahshat mein dahshat mein
koi sani nahin 'irfan' ke haidar ka duniya mein
fasahat mein balaghat mein kitabat mein KHitabat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.