hamare ghar ki fazaon mein yas kafi hai
hamāre ghar kī fazāoñ meñ yaas kaafī hai
charāġh jalte raheñ ās-pās kaafī hai
nigah milāte hue Dar rahe haiñ logoñ se
ki har nigāh meñ ḳhauf-o-hirās kaafī hai
vahīñ pe hai vo jahāñ rasm-o-rāh ḳhatm huī
to ye kaho ki abhī tak udaas kaafī hai
maiñ dekhtā hī rahā rang us ke chehre kā
maiñ jāntā thā ki vo ġham-shanās kaafī hai
ḳhulūs kahte haiñ jis ko vo apne paas kahāñ
yahī sunā hai ki auroñ ke paas kaafī hai
ḳhabar kisī ko nahīñ kaun kis tarah Duubā
magar hujūm to dariyā ke paas kaafī hai
nazākat-e-dil-e-'iqbāl' kaun samjhegā
ye chand log raheñ apne paas kaafī hai
hamare ghar ki fazaon mein yas kafi hai
charagh jalte rahen aas-pas kafi hai
nigah milate hue Dar rahe hain logon se
ki har nigah mein KHauf-o-hiras kafi hai
wahin pe hai wo jahan rasm-o-rah KHatm hui
to ye kaho ki abhi tak udas kafi hai
main dekhta hi raha rang us ke chehre ka
main jaanta tha ki wo gham-shanas kafi hai
KHulus kahte hain jis ko wo apne pas kahan
yahi suna hai ki auron ke pas kafi hai
KHabar kisi ko nahin kaun kis tarah Duba
magar hujum to dariya ke pas kafi hai
nazakat-e-dil-e-'iqbaal' kaun samjhega
ye chand log rahen apne pas kafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.