hamare haal-e-zabun par tu muskuraya bhi tha
hamāre hāl-e-zabūñ par tū muskurāyā bhī thā
zarūr apnī safoñ meñ koī parāyā bhī thā
mohabbatoñ meñ na.e tajrabe zarūrī haiñ kyā
hameñ to pichhle baras tum ne āzmāyā bhī thā
mirī sahar sitam-e-shab se be-ḳhabar to na thī
falak kī aañkh meñ ik ashk DabDabāyā bhī thā
tujhe pahan ke ruteñ ab ke surḳh-rū bhī huiiñ
tirī hañsī ne bahāroñ ko gudgudāyā bhī thā
jalā huuñ dohrī tarah dopahar ke sūraj meñ
ki mere paañv ke nīche to merā saayā bhī thā
biThā.e rakkhā raqīboñ ko jis ishāre se
usī meñ uThne kā apne liye kināya bhī thā
sitam ke daur kī 'ejāz' ḳhūbiyāñ to na bhuul
ki āmiroñ ke diloñ meñ ġham-e-re.āyā bhī thā
hamare haal-e-zabun par tu muskuraya bhi tha
zarur apni safon mein koi paraya bhi tha
mohabbaton mein nae tajrabe zaruri hain kya
hamein to pichhle baras tum ne aazmaya bhi tha
meri sahar sitam-e-shab se be-KHabar to na thi
falak ki aankh mein ek ashk DabDabaya bhi tha
tujhe pahan ke ruten ab ke surKH-ru bhi huin
teri hansi ne bahaaron ko gudgudaya bhi tha
jala hun dohri tarah dopahar ke suraj mein
ki mere panw ke niche to mera saya bhi tha
biThae rakkha raqibon ko jis ishaare se
usi mein uThne ka apne liye kinaya bhi tha
sitam ke daur ki 'ejaz' KHubiyan to na bhul
ki aamiron ke dilon mein gham-e-reaya bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.