hamare haal se ghabra ke mat kinara kar
hamare haal se ghabra ke mat kinara kar
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
hamāre haal se ghabrā ke mat kinārā kar
tū chārāgar hai agar vāqa.ī to chāra kar
kahīñ ḳhushī se mirī dhaḌkaneñ na tham jaa.eñ
tū mujh ko itnī mohabbat se mat pukārā kar
masarrateñ tire ghar se kabhī na rūTheñgī
zarā ġharīb ke bachchoñ ko bhī dulārā kar
ta.alluqāt meñ apnī hī zid nahīñ chaltī
tū dostoñ kī bhī ḳhushiyāñ kabhī gavārā kar
junūñ se kaam liyā jis ne pā gayā vo murād
tū ghar meñ baiTh kar andāza-e-ḳhasāra kar
liyāqateñ to hamesha adab sikhātī haiñ
baḌoñ ke sāmne mat shaiḳhiyāñ baghārā kar
tū chāhtā hai agar sabr-o-shukr kī daulat
faqīr logoñ kī sohbat meñ din guzārā kar
hamare haal se ghabra ke mat kinara kar
tu chaaragar hai agar waqai to chaara kar
kahin KHushi se meri dhaDkanen na tham jaen
tu mujh ko itni mohabbat se mat pukara kar
masarraten tere ghar se kabhi na ruThengi
zara gharib ke bachchon ko bhi dulara kar
talluqat mein apni hi zid nahin chalti
tu doston ki bhi KHushiyan kabhi gawara kar
junun se kaam liya jis ne pa gaya wo murad
tu ghar mein baiTh kar andaza-e-KHasara kar
liyaqaten to hamesha adab sikhati hain
baDon ke samne mat shaiKHiyan baghaara kar
tu chahta hai agar sabr-o-shukr ki daulat
faqir logon ki sohbat mein din guzara kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.