hamare hath mein patthar tumhaare KHanjar hai
hamāre haath meñ patthar tumhāre ḳhanjar hai
tumhī batāo ki tāqat kahāñ barābar hai
ye baat vaqt se pahle hī soch lenā thī
ye shohratoñ kā mahal pāniyoñ ke uupar hai
savāl us ne jo shā.istagī ke saath kiyā
mirā javāb bhī sanjīdgī kā maz.har hai
tave pe jal uThī roTī to maañ ne Tok diyā
tirā ḳhayāl to rusvā.iyoñ kā maz.har hai
baġhāvatoñ pe jo āmāda ham nahīñ hote
isī liye to ye zulm-o-sitam muqaddar hai
hatheliyoñ meñ kisī kī barastī būñdeñ haiñ
hamāre sāmne chhat par ajiib manzar hai
hamare hath mein patthar tumhaare KHanjar hai
tumhi batao ki taqat kahan barabar hai
ye baat waqt se pahle hi soch lena thi
ye shohraton ka mahal paniyon ke upar hai
sawal us ne jo shaistagi ke sath kiya
mera jawab bhi sanjidgi ka mazhar hai
tawe pe jal uThi roTi to man ne Tok diya
tera KHayal to ruswaiyon ka mazhar hai
baghawaton pe jo aamada hum nahin hote
isi liye to ye zulm-o-sitam muqaddar hai
hatheliyon mein kisi ki barasti bunden hain
hamare samne chhat par ajib manzar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.