hamare hath se qudrat ne kya jauhar dikhae hain
hamāre haath se qudrat ne kyā jauhar dikhā.e haiñ
jo nuqte ḳhud nahīñ samjhe vo auroñ ko sikhā.e haiñ
ujāle kī sahar laanā nahīñ sab ke muqaddar meñ
falak pe raat ne yuuñ to ka.ī sūraj ugaa.e haiñ
haqīqat ke samundar meñ dhule sab rang hastī ke
sahar kī raushnī ne niiñd se sapne bhagā.e haiñ
taqaddus un ke chehroñ kā bayāñ kartā hai ā.īna
yahāñ kirdār jo ashk-e-nadāmat se nahā.e haiñ
baḌī mushkil se aaya qalb ke jazbāt par qaabū
ye bachche raat ke pichhle pahar ham ne sulā.e haiñ
'fidā' kaise bayāñ kar luuñ maiñ apne shahr kā qissa
yahāñ ahl-e-vafā ne kis tarah aañsū chhupā.e haiñ
hamare hath se qudrat ne kya jauhar dikhae hain
jo nuqte KHud nahin samjhe wo auron ko sikhae hain
ujale ki sahar lana nahin sab ke muqaddar mein
falak pe raat ne yun to kai suraj ugae hain
haqiqat ke samundar mein dhule sab rang hasti ke
sahar ki raushni ne nind se sapne bhagae hain
taqaddus un ke chehron ka bayan karta hai aaina
yahan kirdar jo ashk-e-nadamat se nahae hain
baDi mushkil se aaya qalb ke jazbaat par qabu
ye bachche raat ke pichhle pahar hum ne sulae hain
'fida' kaise bayan kar lun main apne shahr ka qissa
yahan ahl-e-wafa ne kis tarah aansu chhupae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.