hamare haq mein koi inqalab hai ki nahin
hamāre haq meñ koī inqalāb hai ki nahīñ
hamārī samt khulā dil kā baab hai ki nahīñ
vo ik savāl-e-tamannā jo baar baar huā
us ik savāl kā koī javāb hai ki nahīñ
varaq varaq pe tirā naam jis meñ likkhā hai
vafā-o-mehr kī vo dil kitāb hai ki nahīñ
tirā gunāh bhī vā'iz savāb hai lekin
hamāre nek ‘amal kā savāb hai ki nahīñ
tumhāre naam mire dil kī dhaḌkaneñ jo huiiñ
tumhāre dil meñ kuchh un kā hisāb hai ki nahīñ
hai merā zehn to taḳhlīq-e-ḳhvāb meñ masrūf
tumhāre zehn meñ tābīr-e-ḳhvāb hai ki nahīñ
maiñ dil kī baat 'munavvar' zarūr us se karūñ
samā'atoñ kī magar us ko taab hai ki nahīñ
hamare haq mein koi inqalab hai ki nahin
hamari samt khula dil ka bab hai ki nahin
wo ek sawal-e-tamanna jo bar bar hua
us ek sawal ka koi jawab hai ki nahin
waraq waraq pe tera nam jis mein likkha hai
wafa-o-mehr ki wo dil kitab hai ki nahin
tera gunah bhi wa'iz sawab hai lekin
hamare nek ‘amal ka sawab hai ki nahin
tumhaare nam mere dil ki dhaDkanen jo huin
tumhaare dil mein kuchh un ka hisab hai ki nahin
hai mera zehn to taKHliq-e-KHwab mein masruf
tumhaare zehn mein tabir-e-KHwab hai ki nahin
main dil ki baat 'munawwar' zarur us se karun
sama'aton ki magar us ko tab hai ki nahin
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 105)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.