hamare hisse mein jab se aaya hui hai wahshat bechaare gham ko
hamare hisse mein jab se aaya hui hai wahshat bechaare gham ko
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
hamāre hisse meñ jab se aaya huī hai vahshat bechāre ġham ko
na jaane ham se hai 'ishq kitnā na jaane kitne haiñ pyāre ġham ko
chabā ke lafzoñ ko thuuk Daalā zabāneñ āñkhoñ kī kaaT Dālīñ
koī nahīñ ab samajh sakegā hamārī vahshat hamāre ġham ko
ḳhayāl meñ thā na ḳhvāb meñ thā jo un se mil kar huā hai ham se
har ek dukh ko bhulā diyā hai lagā diyā hai kināre ġham ko
ki jaise bachchoñ ko DaañT kar ham sudhār dete haiñ vaise hī kuchh
koī to piiTe koī to DāñTe koī to āḳhir sudhāre ġham ko
tamām fikreñ jabīñ se apnī utaar pheñkī thiiñ ham ne lekin
'ajīb hai sar pe chaḌh gayā hai vahāñ se koī utāre ġham ko
hamare hisse mein jab se aaya hui hai wahshat bechaare gham ko
na jaane hum se hai 'ishq kitna na jaane kitne hain pyare gham ko
chaba ke lafzon ko thuk Dala zabanen aankhon ki kaT Dalin
koi nahin ab samajh sakega hamari wahshat hamare gham ko
KHayal mein tha na KHwab mein tha jo un se mil kar hua hai hum se
har ek dukh ko bhula diya hai laga diya hai kinare gham ko
ki jaise bachchon ko DanT kar hum sudhaar dete hain waise hi kuchh
koi to piTe koi to DanTe koi to aaKHir sudhaare gham ko
tamam fikren jabin se apni utar phenki thin hum ne lekin
'ajib hai sar pe chaDh gaya hai wahan se koi utare gham ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.