hamare honTon pe kyon shikwa-e-bahaar aae
hamāre hoñToñ pe kyoñ shikva-e-bahār aa.e
ki 'umr apnī bayābāñ meñ ham guzār aa.e
thakā sā vaqt mujhe karne tāza-kār aa.e
na aa.e sub.h magar shām-e-intizār aa.e
hazār baar nahīñ sirf ek baar aa.e
hamārī hadd-e-nazar meñ vo shahsavār aa.e
ḳhayāl-e-yār kā yuuñ hai guzar mire dil meñ
ki chiiz jaise dukāñ se koī udhār aa.e
kisī bhī kapḌe meñ lagtā hai ḳhūb-sūrat vo
libās us ke badan par ba-iftiḳhār aa.e
baġhair us ke nasha sā savār hai mujh par
utārne ke liye vo mirā ḳhumār aa.e
ġhazal ke saath sar-e-bazm 'badr' yuuñ aaya
ki nek-kāroñ meñ jaise gunāhgār aa.e
hamare honTon pe kyon shikwa-e-bahaar aae
ki 'umr apni bayaban mein hum guzar aae
thaka sa waqt mujhe karne taza-kar aae
na aae subh magar sham-e-intizar aae
hazar bar nahin sirf ek bar aae
hamari hadd-e-nazar mein wo shahsawar aae
KHayal-e-yar ka yun hai guzar mere dil mein
ki chiz jaise dukan se koi udhaar aae
kisi bhi kapDe mein lagta hai KHub-surat wo
libas us ke badan par ba-iftiKHar aae
baghair us ke nasha sa sawar hai mujh par
utarne ke liye wo mera KHumar aae
ghazal ke sath sar-e-bazm 'badr' yun aaya
ki nek-karon mein jaise gunahgar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.