hamare ishq ka anjam hum ko kya malum
hamāre ishq kā anjām ham ko kyā ma.alūm
sunā hai un ko ḳhabar hai magar ḳhudā-ma.alūm
vo bad-nasīb jo māñge to un se kyā māñge
duā kī jis ko ḳhabar ho na mudda.ā ma.alūm
na pūchh mujh se mire dard-e-dil kā haal na pūchh
ki ab to dard kā ehsās bhī hai lā-mā'lūm
rah-e-talab meñ agar hosh hai to sirf itnā
ki jā rahā huuñ magar kis taraf ḳhudā-ma.alūm
'sahar' karūñ to karūñ kyā ki dil se huuñ majbūr
vagarna ḳhabt-e-mohabbat kā fā.eda ma.alūm
hamare ishq ka anjam hum ko kya malum
suna hai un ko KHabar hai magar KHuda-malum
wo bad-nasib jo mange to un se kya mange
dua ki jis ko KHabar ho na muddaa malum
na puchh mujh se mere dard-e-dil ka haal na puchh
ki ab to dard ka ehsas bhi hai la-ma'lum
rah-e-talab mein agar hosh hai to sirf itna
ki ja raha hun magar kis taraf KHuda-malum
'sahar' karun to karun kya ki dil se hun majbur
wagarna KHabt-e-mohabbat ka faeda malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.