hamare jaise hi logon se shahr bhar gae hain
hamāre jaise hī logoñ se shahr bhar ga.e haiñ
vo log jin kī zarūrat thī saare mar ga.e haiñ
gharoñ se vo bhī sadā de to kaun niklegā
hai din kā vaqt abhī log kaam par ga.e haiñ
ki aa ga.e haiñ tirī shor-o-shar kī mahfil meñ
ham apnī apnī ḳhamoshī se kitnā Dar ga.e haiñ
unhīñ se siikh leñ tahzīb raah chalne kī
jo raah dene kī ḳhātir hamīñ Thahar ga.e haiñ
sabhī ko karte haiñ mil-jul ke rahne kī talqīn
kuchh apne aap meñ ham is qadar bikhar ga.e haiñ
nahīñ qubūl hameñ kāmyābī kā ye junūn
ye jānte bhī haiñ nākāmiyoñ pe sar ga.e haiñ
to kyuuñ satātī hai bigḌe dinoñ kī yaad ki ham
musālahat huī duniyā se ab sudhar ga.e haiñ
havā-e-dasht yahāñ kyuuñ hai itnā sannāTā
vo tere saare divāne batā kidhar ga.e haiñ
hamare jaise hi logon se shahr bhar gae hain
wo log jin ki zarurat thi sare mar gae hain
gharon se wo bhi sada de to kaun niklega
hai din ka waqt abhi log kaam par gae hain
ki aa gae hain teri shor-o-shar ki mahfil mein
hum apni apni KHamoshi se kitna Dar gae hain
unhin se sikh len tahzib rah chalne ki
jo rah dene ki KHatir hamin Thahar gae hain
sabhi ko karte hain mil-jul ke rahne ki talqin
kuchh apne aap mein hum is qadar bikhar gae hain
nahin qubul hamein kaamyabi ka ye junun
ye jaante bhi hain nakaamiyon pe sar gae hain
to kyun satati hai bigDe dinon ki yaad ki hum
musalahat hui duniya se ab sudhar gae hain
hawa-e-dasht yahan kyun hai itna sannaTa
wo tere sare diwane bata kidhar gae hain
- Book : Dasht-zaad (Pg. 34)
- Author : Sohail Akhtar
- Publication : Arshia Publications (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.