hamare jine ki aasani chhin leta hai
hamāre jiine kī āsānī chhīn letā hai
jagā ke pyaas ḳhudā paanī chhīn letā hai
shab-e-firāq vo aatī hai ḳhvāb meñ milne
ye vasl hijr kī vīrānī chhīn letā hai
maiñ dekh letā huuñ hañstā huā tirā chehra
ye merī saarī pareshānī chhīn letā hai
farebī dost pe kaise maiñ e.atibār karūñ
ye jazba shāhoñ se sultānī chhīn letā hai
vo māñgtā nahīñ hai apnā haq kisī se bhī
vo māñgtā nahīñ hai ya.anī chhīn letā hai
hamare jine ki aasani chhin leta hai
jaga ke pyas KHuda pani chhin leta hai
shab-e-firaq wo aati hai KHwab mein milne
ye wasl hijr ki virani chhin leta hai
main dekh leta hun hansta hua tera chehra
ye meri sari pareshani chhin leta hai
farebi dost pe kaise main eatibar karun
ye jazba shahon se sultani chhin leta hai
wo mangta nahin hai apna haq kisi se bhi
wo mangta nahin hai yani chhin leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.