hamare jism ka ye maqbara nahin Khaali
hamāre jism kā ye maqbara nahīñ ḳhālī
tumhārī yaad se ab tak huā nahīñ ḳhālī
farāġh ḳhud se milā to jahāñ se jā uljhā
mirā dimāġh kabhī bhī rahā nahīñ ḳhālī
duā ko haath uThāte hue huuñ ḳhālī haath
duā karo ki yuuñ ho.e duā nahīñ ḳhālī
kahīñ jalāne meñ shāmil kahīñ bujhāne meñ
ki apne kaam se pyāre havā nahīñ ḳhālī
ye kījiye ki muqaddar banā.iye ḳhud hī
hazār kaam haiñ us ko ḳhudā nahīñ ḳhālī
milā jo ham se vo do chaar ashk le hī gayā
ki ham se mil ke koī bhī gayā nahīñ ḳhālī
rahe na aañkh meñ aañsū to ḳhvāb ā.eñge
isī liye maiñ use kar rahā nahīñ ḳhālī
hamare jism ka ye maqbara nahin KHali
tumhaari yaad se ab tak hua nahin KHali
faragh KHud se mila to jahan se ja uljha
mera dimagh kabhi bhi raha nahin KHali
dua ko hath uThate hue hun KHali hath
dua karo ki yun hoe dua nahin KHali
kahin jalane mein shamil kahin bujhane mein
ki apne kaam se pyare hawa nahin KHali
ye kijiye ki muqaddar banaiye KHud hi
hazar kaam hain us ko KHuda nahin KHali
mila jo hum se wo do chaar ashk le hi gaya
ki hum se mil ke koi bhi gaya nahin KHali
rahe na aankh mein aansu to KHwab aaenge
isi liye main use kar raha nahin KHali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.