hamare kaam rafta-rafta sare ban rahe the
hamāre kaam rafta-rafta saare ban rahe the
ki dariyā chal paḌā thā aur kināre ban rahe the
kisī se guftugū āġhāz honā chāhtī thī
ḳhudā ne bolnā thā tiis paare ban rahe the
bichhāyā jā chukā thā ik bichhaunā āsmāñ par
abhī mahtāb banñā thā sitāre ban rahe the
chhupā.ī jā rahī thī aag sī us meñ koī shai
huā mā'lūm ki vo dil hamāre ban rahe the
mirī nigrān thiiñ āñkheñ jahāñ par tū khaḌī thī
jahāñ par terī nazreñ thiiñ nazāre ban rahe the
rukī thī halq meñ āvāz se miltī huī chiiz
thī koī baat jo itne ishāre ban rahe the
jahāñ par tez bārish thī vahīñ thī band Dibiya
vahīñ se hote hote surḳh dhāre ban rahe the
galī meñ shor sā barpā thā aur bachche gharoñ se
nikalne vaale the rangīñ ġhubāre ban rahe the
hamare kaam rafta-rafta sare ban rahe the
ki dariya chal paDa tha aur kinare ban rahe the
kisi se guftugu aaghaz hona chahti thi
KHuda ne bolna tha tis pare ban rahe the
bichhaya ja chuka tha ek bichhauna aasman par
abhi mahtab banna tha sitare ban rahe the
chhupai ja rahi thi aag si us mein koi shai
hua ma'lum ki wo dil hamare ban rahe the
meri nigran thin aankhen jahan par tu khaDi thi
jahan par teri nazren thin nazare ban rahe the
ruki thi halq mein aawaz se milti hui chiz
thi koi baat jo itne ishaare ban rahe the
jahan par tez barish thi wahin thi band Dibiya
wahin se hote hote surKH dhaare ban rahe the
gali mein shor sa barpa tha aur bachche gharon se
nikalne wale the rangin ghubare ban rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.