hamare KHwab girte ja rahe the
hamāre ḳhvāb girte jā rahe the
so ham āñkheñ badalte jā rahe the
hamāre paas koī bhī nahīñ thā
pa ham saa.e se Darte jā rahe the
bharā thā hasratoñ se dustbin bhī
safā.ī dil meñ karte jā rahe the
udāsī is qadar lipTī huī thī
dar-o-dīvār hañste jā rahe the
kahānī sar paTak kar ro rahī thī
sabhī kirdār marte jā rahe the
hamare KHwab girte ja rahe the
so hum aankhen badalte ja rahe the
hamare pas koi bhi nahin tha
pa hum sae se Darte ja rahe the
bhara tha hasraton se dustbin bhi
safai dil mein karte ja rahe the
udasi is qadar lipTi hui thi
dar-o-diwar hanste ja rahe the
kahani sar paTak kar ro rahi thi
sabhi kirdar marte ja rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.